Monday, February 7, 2011

‘Pyaar’....................

 Kya hota hai ‘Pyaar’.
woh raaton ko jagna,
woh uski ek jhalak ko tarasna,
woh uski khushi mein khush hona,
woh uske dukh mein rona,
woh uske na hone par aankhon ka bhar aana,
woh uske aa jane par khil jana
woh uske dur se dekhne par muskurana,
woh uske paas se gujar jane par ghabrana,
woh choti choti baaton par ruthna,
woh ek pal mein maan jana,
woh kisi or se baat karne par chidna,
woh ek hansi mein sab bhula dena,
woh usko chup chup kar dekhna,
woh najro ke milte hi unka jhukna,
woh bin bole har baat ka samjhna,
woh jhut mut ki takrar,
woh khamosh ikrar.
Isi ehsaas ka naam hai ‘Pyaar’………